Book Video Consultation
Stay Home
No Waiting in lines
Audio/Video Call
PMC Verified Doctors
Asking for Self, Male, 25 years old, Gujranwala
Sir main pouchna cha rha tha k jb root canal ka procedure hota to jb doctors 3 days ka time deta hai to us 3 din kn c cheezo sy parhaiz krni chahiy
oral hygiene ka .jab b kuch khaee to koshish karein qurlii kar lein takay khanay kay zarat mazeed infection may izafa na kar dein.
doodh dahii lasi or bara gosht say parhez.
khajoor or bubble wagar na khaee jis say temporary filling nikal saktii ha or dant khul jata ha jis say infection zayada ho jata ha
dhood dahi lassi aur chawal wagera ka perhaiz nahiiiiii karna asa karna bilcul zarori nai hai ......
kisi parhaiz ki zarurat ni hai ap sb kch kha pee sakty hain
kisi cheez se bhi nhin
just dont bite via that tooth
kisi bhi hard cheez py bite nae krna
final filling honay tak Doosri side use krain takay apki temporary filling remove na ho jay.
temporary filling remove honay sai food particles & Germs apki root canal mai ja sakti hain.
jo k infection ka sabab ban sakti hai..
Hosakay to dusri side use karain kiunke daant kamzor aur filling kachhi hoti hai, filling nikalnay se khana phansay ga and sakht cheez khanay se daant fracture hosakta hai.
maintain cleaning ..
asslamualaikum, oral hygiene Achi rkhein, jis side Ka treatment chal rha us side sy hard food na Bite lein
Usually hard substance otherwise you can eat anything....
take soft diet avoid hard foods use non treated side.
koi parhaiz ni hai bs us dant say kuch sakht chez khanay say parhaiz krna hota
2 Positive Reviews