Book Video Consultation
Stay Home
No Waiting in lines
Audio/Video Call
PMC Verified Doctors
Asking For Other, Female 12, Pattan Kohistan Lower
Meri beti ko 2 sal pehle Meningitis hui thi. ATH Atd mn admit kr k elaj kr lya tha. Abhi dubara usko bukhar or headache shuru hui hai. Main bht pareshan hon. Kindly guide medicines for her.
Pehle Doctors ne Rize , Calpol 6 plus or taqat ki 1 dawai di thi 2 mah estimal k liye. Ab dubara yahi dawai lelon ya change kr don?
Aap usey doctor key pas le kar jayeiN jo muaena kar ke bata sakey ke is baar bukhar ki wajah kya hay. Kya dobara meningitis hua hay ya kuch aur? Agar meningitis hay to kis tarah ka: kyon ke meningitis bhi mukhtalif tarah ke hotey hain . Har meningitis ke liye farq dawa istemal karni perti hay. Is muamley meiN ihteyat bartain aur khud se ilaj na karain, aisa karney ka nuqsaan bhi ho sakta hay.
Ab aap dobara Dr ko dikana.
apky mareez ko dekna parregha , menegitis ki alamat agar paye gai to isko confrm krne ky lyain kamar se pani nikalna parregha , is test k mutabeq pher dawai start hoghe
6 Positive Reviews