Book Video Consultation

Book Video Consultation

Stay Home

No Waiting in lines

Audio/Video Call

PMC Verified Doctors

Talk to Cancer Specialist / Oncologist on Cancer

person-avatar

Asking for Self, Female, 32 years old, Rawalpindi

Mujay non small lunch cancer hay aur mujay 6 cycle chemo hochoki hay cisplatin aur doxi ki abi doctor k ra hay hen k about second line chemotherapy hogi mein buhat pareshan hon kaya karon mein doctor sahab mujay ye batao k second line chemotherapy ka b side affect utnay jet nay pehlay walay chemotherapy k tay second line chemotherapy carboplatin aur gemcitabine ka hogi plz plz plz reply zaror karna shahyed meri dual lagjaye apki meray 4 choty bachay hay aur kaya mein tehk hojaongi

Internal Medicine Specialist in Karachi - Dr. M Saeed Shekhani

An oncologist will be able to say something about this.

Member of Marham-Forum

Lung cancer ek difficult disease hai
Iss leye aap ko nahaya T ehtayat aur mustikal mazaji se iss ko shakast daini hai.
Iss jung mein doctor Ki hadayaat pr sakhti se amal krna zaroori hai.

Inn drugs k side effects hain laikun jis tarah AAJ tak aap ne hosle se kaam lia hai tu ye side effects aap ko barshasht krney mein kamyabi ho gi
Allah se dua ka silsala jaari rakhain
Uss ne har Marz Ki shifa paida Ki hai

Shahad (Honey) two tablespoon plus half teaspoon daar cheeni pissi hui mix kr k rozaana istamal krain

Sugar ka istmal khatam kr dain
Lemon aur qahwa ( green tea) ka istimaal ziada krain

Insha Allah shafa ho gi

Member of Marham-Forum

aap inshaAllah zarur theek hu jyein gi. Allah pak aap ko jald mukamal shifa ata farmye. Ameen.

Cancer Specialist / Oncologist in Faisalabad - Prof. Dr. Muhammad Tahir Bashir

I wish k ap Bohat jaldi behtar hoon.
Second line chemotherapy k side effects bhi hoon gai but hopefully you will tolerate better kioon k AP nai pehlay chemo ka experience Kia hooa hai.
Gem aur carbo sai AP k platelets decrease ho saktay hain.
But AP ko is ka benefit ye Ho ga k AP ki disease better control Ho gi is Wali chemo sai.
AP k liay oral drugs k options Bhi hain if you are scared of chemo.

Attach Photo here: