Book Video Consultation

Book Video Consultation

Stay Home

No Waiting in lines

Audio/Video Call

PMC Verified Doctors

Talk to Pediatrician on Bed Wetting

person-avatar

Asking for Other, Male, 9 years old, Karachi

Mera beta 9 saal ka hai sirf raat main bed wetting ka problem hai usko pamper pehnana parta hai.. mrray husband ko or unki family main kaafi logon ko yeh problem Raha hai I mean unke cousins ko bhi lekin mrray husband kehtay hain k 10 ya 11 saal ki age Tak sab thik hogaya tha .. Kya bed wetting ka masla hereditary hota hai? Uska proper ilaaj hai?

Pediatrician in Peshawar - Dr. Furqan Ahmad

Dr. Furqan Ahmad - Pediatrician

MBBS, FCPS (Paediatrics) | Peshawar

review-stars

12 Positive Reviews

yes ye 6 yrs k bad b rahay to iska elaaj krna zarori hota hai n ye 15,16 yrs ki age tk sb bachon me khtm ho jata hai ap isko dopeher 4 k bad pani juices etc na dya karen n raat 7 k bad dinner na kre us se pehle kre n is k elawa raat ko alarm lgaya karen n bachay ko utha k washroom krwa lya karen is k sath sath tab tofranil 1 rozana raat ko dena shuru kr den in sha Allah theek ho jaye ga

Member

Post Owner


JazakAllah doctor.. meray beta kehta hai k aankh nahi khulti Meri neend pakki hai mehsoos nahi hota or pamper main nikal jati hai .. pamper pehnati rahun ? Napaaki k dar se pamper nahi chhurati

4 years ago

Pediatrician in Peshawar - Dr. Furqan Ahmad
Dr. Furqan Ahmad - Pediatrician

MBBS, FCPS (Paediatrics) | Peshawar | Book Appointment

review-stars 12 Positive Reviews

mam jo me ne bola hai wo sb krna shuru krn iA jald ye masla khatam ho jaye ga Allah k karam se

4 years ago

Pediatrician in Peshawar - Dr. Furqan Ahmad
Dr. Furqan Ahmad - Pediatrician

MBBS, FCPS (Paediatrics) | Peshawar | Book Appointment

review-stars 12 Positive Reviews

alarm therapy use karen ap khud usko utha k washroom krwa dya karen n sath me usko motivate karen dry nights pe osay inam den

4 years ago

Pediatrician in Peshawar - Dr. Furqan Ahmad

Dr. Furqan Ahmad - Pediatrician

MBBS, FCPS (Paediatrics) | Peshawar

review-stars

12 Positive Reviews

aur han is me family history positive hoti hai bachay k father etc ko yehi masla raha hota hai childhood me

Member

Post Owner


Ji meray husband ko tha meray jeth k betay ko tha mrray husband k cousins ko tha even cousin sisters main bhi problem tha yeh

4 years ago

Pediatrician in Peshawar - Dr. Furqan Ahmad
Dr. Furqan Ahmad - Pediatrician

MBBS, FCPS (Paediatrics) | Peshawar | Book Appointment

review-stars 12 Positive Reviews

khair hai in sha Allah bilkul theek ho jaye ga

4 years ago

Member of Marham-Forum

JazakAllah doctor

Attach Photo here: